10 best youtube tricks jo kabhi nhi suni hogi aapne


10 Best Youtube Tricks And Tips Jo Aapne Kabhi Nahi Sun  Aaj ke daur me , Hum koi bhi video Youtube pe hi dekhte hai. Movie,Trailers,Songs sab kuch hum Youtube pe hi dekhate hai .Youtube ek video sharing site duniya ki tisari sabse popular website hai Google aur Facebook ke baad.Har minute Youtube pe 300 hours ke videos upload hote hai.





Har roj karib 30 crore videos Youtube pe dekhe jate hai.Iss aakdo ke dekhte aaisa lagta hai ki Youtube insan ke jiwan ka ek hissa ban gaya hai.Isse toh hum sab wakhib hai.Lekin kya aap jante hai Youtube  ke unsunne tricks ke baare me.Nahi naa ? Toh fikar naa kare aaj hum yehi janege .
Mein aapko bataunga aaise amazing Youtube tricks and tips jo aapne kabhi nahi sune honge.




Top 10 Best Amazing Secrets Youtube Tricks n Tips 

Amazing Youtube tricks and tips jise aap sunkar hairan reh jayenge.Toh chaliye jante hai Youtube ke anokhe raj.


#1 Youtube Video Download kare bina kisi app ke


Aap ne Apps ki madat se Youtube ke Videos download kiye honge . Lekin kya aapne bina kisi app ki madat se videos download kiye hai ? 
Agar aap Youtube videos bina kisi app ke download karna chahte hai toh sirf ek kaam karna hoga.
apne video ke url me www. ke baad "ss" add kariye.Bas uske baad ek page open hoga usme download ka option select kar ke aap Youtube ke videos bina software ke download kar sakte hai .





#2 Search me 'Use the force Luke' type kare aur maza dekhe


Youtube ke search box me Use the force Luke type kare aur enter dabaye.Uske baad jo hogaa usse aap dang reh jayenge.Aap ki screen  hilne lagegi.Aaisa lagega ki Youtube ko chakkar aa rahe hai.


#3 Youtube video ko 'GIF' me convert kare


Agar aapko kisi video ko gif yani bitmap image me convert karna hai lekin aapke paas koi software nahi hai toh bhi aap Youtube se direct Gif bana sakte hai.
Apne url me gif add kijiye aur aap automatically GIF maker me chale jayenge.
youtube-gif-maker







#4 Youtube Keyword Shortcuts


Aapne Computer ke normal shortcuts toh sune honge .Lekin kya aapne Youtube ke liye use hone wale shortcuts ka use kiye hai ? Abse use karna chalu kar digiye .

k = Pause/play

j = 10 seconds video rewind kare .

l = 10 seconds video fast forward kare.

m = mute

Number 0 = video beginning se start kare

Number 1-9 = 10% se lekar 90% tak video me jump kare . 




#5 Age Restricted video dekhe bina Log-in ke 

Kya aap age restricted videos dekhna chahte hai ? Par uske liye aapko log in karna jaruri hota hai. Magar mein aapko bina loh in karke kaise age restricted video dekhe jate hai .
Bas aap ko karna yeh hai , Aapne url me se "watch?" mita de aur "v=" ki jaga "v/" likhe.Phir enter dabaye aur bina login ke video ka maza le.


youtube-age-restricted-videos



#6 YouTube ko Colourful banaye


youtube-doge-meme



Kya aapne Youtube ko kabhi itna Colourful dekha hai.Agar aap Youtube ko colourful dekhna chahte ho toh  Youtube search box me "doge meme" type kijiye aur Youtube ko colorful dekhiye.




#7 Watch Later 


Kisi wajah se agar aapko video abhi nahi dekhna hai magar save karke free time me dekhna hai toh aap iska istemal kar sakte hai .
youtube-watch-later

Iske liye aap Add to par click kare , phir watch later ko select kare.


Woh video save ho jayega.Jab bhi aapko woh video dekhna ho toh Menu button par click kare phirwatch later par click kare




#8 Video ko mp3 me convert kare


Peggo ek aaisi website hai , jaha aap Youtube ke kisi bhi video ko MP3 me convert kar sakte hai.

Peggo-youtube-video-converter



Agar aapbhi koi video MP3 me convert karna hai toh aap yaha click kar ke bhi kar sakte hai.





#9 Favorite Artist ke full albums dekhe

Agar aap ko aapke favorite artist ke songs ek hi page pe chahiye ho toh aap iss trick ka use kar sakte hai.
Simply search box me artist ke naam ke samne  "#" likhe aur search kare . 

youtube-fav-artist





#10 Autoplay Disable kare


Jab bhi hum Youtube video ko select karte hai toh woh apne aap chaku ho jata hai . Isse band karne ke  liye hume Autoplay ka button off karna hota hai.
Autoplay off karne ke liye simply Autoplay button pe click kare aur usse off kar de .



youtube-autoplay-disable



Toh dosto,yeh the kuch Youtube ke tips and tricks . Aap yeh Amazing tricks jarur try kare aur kuch dikkat aaye toh muze jarur contact kare.

humare blog se jude rahe or nayi tricks ke bare me jaane ye post aapko kesi lagi hume commente karke jarur btaye


EmoticonEmoticon