Showing posts with label apps help. Show all posts
Showing posts with label apps help. Show all posts

audio editing ke 5 best software ki jaankari

AUDIO EDITING KE 5 BEST SOFTWARE'S




Dosto aaj ham aapko kuch aise softwares ki jankari de rahe hai. jo aapke liye kafi use ful ho skte hai. aap hamesha ringtone create karne ya fir aur bhi audio songs banane ke liye internet par hamesha acche softwares search karte rahte hai. lekin hame free me koi bhi accha software nahi mil pata hai. toh aaj ham aapko kuch acche free softwares ki jankari dege jisse aap ek accha music bana skte hai.

Abhi tak aap audio banane ke liye websites ka use karte the lekin aaj hum apko 5 best softwares btayege jo ek dum free hoge aur isse aap acchi audio editing kar skte hai. agar aap ek radio jockey hai ya fir singer hai toh apko audio editing ki bohat jarurat padti hai toh in softwares ki help se aap kafi kaam easy ho jayega. in 5 softwares me se koi ek select karna apke liye mushkil hoga isliye ham apko sabhi softwares ki details dege fir aapko jaisi editing karni ho wo aap download kar skte hai.





Audio Editing Ke 5 Best Software's


Internet me aapko bohat se softwares mil jayege lekin sabhi softwares se hum acchi editing nahi kar skte hai. lekin jo wakai me acche softwares hai wo sabhi paid hai inko download karne ke liye hame kafi paise kharch karne pad skte hai. lekin ye softwares free hai aur acche bhi hai. inse ham paid softwares jaisi editing kar skte hai.

1- Virtual DJ
 Dosto Virtual dj ko maine no 1 par rakha hai. kyuki isse best koi bhi free software nahi hai. isme aap sabhi prakar ki editing kar skte hai. agar aapko ringtone banana ho ya fir mashup banana ho ya DJ song create karna ho. is software se aap sab kuch kar skte hai. iske sath sath aap isme thodi bohat video editing bhi kar skte hai. jaise Videos me effects dalne ho ya fir kai sare video mix karne ho ya videos cut karne ho ye sabhi cheeje aap virtual dj se kar skte hai. virtual dj se aap vocal remove badi easily kar skte hai. kyuki ye hame iska bhi feature available karta hai. 
Agar aap Kisi online radio me live show karna chahte hai toh aap iska pro version me upgrade kar skte hai. online broadcasting ka feature apko pro version me hi milega.




2- WavePad
WavePad NCH softwares company hai. ye jyada bada softwares toh nahi hai. lekin isse hum bohat si cheeje kar skte hai. jaise ringtone banana songs mix karna recordings karna . isme hum sabhi prakar ke audio formats me apna music bana skte hai. ye MP3 Wav Vox Gsm Ogg aur AAc ko support karta hai. ye only 2 mb ka software hai aur ise use karna bohat hi easy hai. wavpad me aap audio me effect dal skte hai. aur iske sath nch ki site se aap new new plugins apni jarurat ki hisab se install kar skte hai.

3- AudaCity
Proffesional audio editing ke liye ye software aapke liye accha sabit ho skta hai. ye only WAV aur MP3 formats ko support karta hai. isse aap acchi editing kar skte hai. isme aap badi easily audio ko cut paste kar skte hai. aur apne audio ke effective bana skte hai. ise aap free me download kar skte hai. 

4- Ardour
Isko khaskar musician aur enginiars ko dhyana me rakhkar bnaya gaya hai. isme aap sabhi format me audio bna skte hai. agar aap recording karna chahte hai toh aap apni voice record karte wqt background music bhi set kar skte hai. is software me aap external acceseries bhi jod skte hai. aur ek behtareen music bna skte hai. isme apko bohat se advance option milege jo normal softwares me nahi hote hai. lekin iske sabi features ko use karne ke liye aapko $1 pay karna pad skta hai.




5- Adobe Audition
Adobe audion me bi ek accha software hai. ye apko video editing ka bhi feature deta hai.  agar aap duniya me bohat se musician is software ka use kar accha music bnate hai. isse aap advertisement, interviews ya fir music track create kar skte hai. ye sabhi audio formats ko support karta hai.

Last Word For You
Dosto aaj maine apko audio editing ke 5 best softwares btaaye jinhe aap download kar badi easily se accha music bana skte hai. agar apko ye post pasand aayi ho toh apnedosto ke sath social media me share karna na bhule.



google due free video calling karne ka simpal or bes app

google due free video calling karne ka simpal or bes app


Google Duo: Free Video Calling Karne Ka New Simple Apps



Google ne 15 august 2016 ko google duo ke name se ek app launch kiya hai. Jis se aap simple tarike se video calling kar sakte ho. We all know, hangout jaise pahle se bahut se video calling apps hai fir goog duo me aysa naya kya hai or google ne ise kyu lauch kiya hai. in this post, mai aapko iske bare me details se bta raha hu ki ime kya khas hai jo oro me nahi hai.
free video calling google duo app
Google ke new video callinkg app duo launch hone ke bad Facetime and Skype jaise popular video calling apps ko isse badi takkar mil rahi hai. Iska user interface kafi aasan hai. ise aap jaise hi apne mobile me open karoge video camera on ho jayega or aapka video dikhne lagega.

Actually, jab maine is app ko try kiya to mujhe iske feature mujhe bahut pasand aaye or mujhe laga ki iske bare me aap sabhi ko bhi btana chahiye. So chaliye mai aapko bta raha hu ki google duo app ko kyu use kare or isme kya kya better hai.

Google Duo Video Calling Aapp Se Free Me Call Kaise Kare

Apne mobile ke play store me jaye or search box me Google Duo ya only Duo likh kar search kare or apps download kar le ya fir aap chahe to is link se bhi google duo app download kar sakte hai, Google Duo – The simple video calling app.
  1. hangout jaise other video call wale apps me aapko apni gmail ID ke username, password se log in karne ki jarurat hoti thi but google duo me aap direct apne mobile number se video callinkg kar sakte ho.
  2. Google duo abhi globally android and IOS phones me lagbhag 78 languages me available hai.
  3. Abhi aap isse only video call kar sakte ho par aane wale time me aap isse sirf audio call bhi kar paoge.
  4. Is app ki sabse achhi bat ye hai ki aap isse 2g internet connection par bhi achhe se use kar sakte ho. Jabki aapko dusre video calling apps ke liye 3G, 4G network ki jarurat hoti hai.
  5. Ye app bahut simple hai aap ise aasani se istemal kar sakte ho.
  6. Is app ka size bahut kam MB ka hai jabki iski tulna dusre video calling apps jyada size ke hote hai. So ise download karne me aasani hogi.
  7. Is app se video call karne ke liye aapko sirf mobile number ki jarurat hoti hai.
Humare kuch dosto ne iske bare me hindi video bhi banaye hai. Jinke link me aapko yaha bta raha hu. So agar aap google duo ke bare me video se janna chahate ho to aap ye video dekh sakte hai.
  1. Google Duo! The Simple Video Calling App
  2. Hindi Google App / free video calling app
  3. [Hindi] Google launches video calling app for Android and iOS – Tech News
Finally, I suggest you is app ko ek bar jarur try kare or agar aapko ye samajh na aaye to aap upar btaye 3no videos me se koi bhi video dekh kar ise achhe se samajh sakte hai. Mobile user ke liye video calling karne ka ye bahut achha app hai.

Mobile se Mp3 songs me apna photo kese lagate hai hindi or urdu me

Fir ek baar aapka swagat hai ,aaj hum batayenge ki mp3songs me apna ya apni website ka photo kese lagate hai mobile se

Kis ke liye jaruri hai photo lagana
Is ki apni songs ki website ho uske liye bahot hi jaruri hai apni website ke naam ka photo laga na kyuki us se website ki pahechan banti hai hai or logo ko malum padta hai ki song kon si website se download kiya hai


Dj ke liye bhi jaruri hai photo lagana
Ek ache dj ke liye bhi jaruri hota hai apna photo lagana kyuki uski pahechan badhti hai or kis dj ne songs ko create kiya hai log jaan pate hai or me aaj aapko jo apps ki jaankari dena chahta hu us se aap apna photo or song ke details bhi change kar sakte hai jese ki singer, artist name album name, or bahot kuch wo bhi mobile se


Music player

Sabse pahele (music playey) app download kare or usko install karle fir aapko jis song me apna photo lagana hai us song Ko  play kare aap album nane artist name bhi change kar sakte hai



Fir upar niche ki taraf jo errow bta rha hai us par clik karde ek windows open hoga jese ki image me diya hua hai

Fir aap change art ke option pe click kare or image select karke ok par click karde  lo ho gaya aapka photo set


Note--- aapko ye jaankari kesi lagi ya fir is se post ye judi hui koi bhi problem ho to commente karke jarur btaye hum aapki puri help karne ki koshish karenge
android app  banane ki top  websites  hindi me

android app banane ki top websites hindi me

Android Mobile App kaise banaye 10 Minute Me in hindiAndroid App Banane ke liye hame simple Andoird App Banane wali website ki jarurat hai, uski madad se koi bhi badi aasani se apni jarurat ke hisab se apna App Bana sakta hai.

1. AppsGeyser

appsgeyser ek best company hai android app banane ke liye bina coding ke. Is Website me ham apna App 2-3 Minute me bana sakte hai.Is Site par ham apna app free me bana sakte hai, par agar hame us app ko playstore me publish karna hai to hame thode paise dene padte hai.PlayStore me Upload karne ke kitne paise lagte hai wo aap Website ke Price ke section me dekh sakte hai. Aap App se paise bhi kama sakte hai usme ads laga kar, or agar aapki website hai to aap uske liye bhi App bana sakte hai.appsgeyser.com

2. Mobiloud

Ye WordPress User ke liye hai. Mobiloud ki madad se WordPress site ke liye Android App bana sakte hai. Agar aapki WordPress Site hai to aap Mobiloud ki madad se bina coding ki madad se Android App bana sakte hai.mobiloud.com

3. buildapp

build app ek or website hai Android app banane ke liye bina coding or programing ke. Isme hame bhut sate design milte hai Android App ke liye. Aap iski madad se ek professional App bana sakte hai bina coding ke

4. Andromo

Andromo me koi bhi Professional Android App bana sakta hai. Isme hamjo App bana sakte hai usko banane mebhut coding ki jarurat padti hai jo ham yaha bina coding ke bana sakte hai. Hamm Andromo me App bana kar Apna Business, Event, News ya kuch bhi share kar sakte hai. Isme bhut jaldior badi aasani se ham Android App bana sakte hai.andromo.com

5. Mobincube

Mobincube me Andoird Application bana ek acha edia hai q ki isme ham badi hi aasani se Advanced App bana sakte hai SmartPhone or Tablets ke liye bina technical knowlage ke.Agar Aap HTML Page use karna chate hai apna khud ka design kiya huaa to aap bhi kar sakte hai.Is Site me kuch Futures hai jo Paise se use kar sakte hai.mobincube.comQR Code Kya hai, Kya hota hai is se or kese use karte hai

6. Appyet

Appyet ki madad se aap ek Professional Android App bana sakte hai. Isme aapko bilkul bhi Programming ki jarurat nahi padegi or Aap ek Minute me apna Phela AndroidApp bana kar teyar kar sakte hai.Hame App Banane ke liye website ke RSS/Atom feed ki jarurat padegi, jisko ek badiya Android App me badi achi tarike se badal diya jata hai.App Bana kar Aap PlayStore or Dure Platform par upload kar sakte hai.. or Ads laga kar ache paise bhi kama sakte hai

friends kesi lagi ye jaankari ya fir post se sambandhit koi bhi saval ho to comnent jarur kare