Showing posts with label youtube tricks. Show all posts
Showing posts with label youtube tricks. Show all posts
youtube se jyada paise kaise kamaye hindi me help

youtube se jyada paise kaise kamaye hindi me help

Youtube Se Jyada Paise Kaise Kamaye-Hindi Me




Aaj hum baat karenge ki youtube se jyada paise kaise kamaye?. To dosto jyadatar logo ke pass adsense account hota hi he. agar kisi blogger ka adsense approve nahi hota he to woh youtube se approve karva deta he lekin agar Blogger ke dil me adsense account pane ki chaah hogi to voh kese bhi kar ke adsense account ko haasil kar Hi lega. To ye bahot hi khushi ki baat he ki har ek blogger mehnat kar ke adsense ka account approve karva deta he.


To Dosto agar aap ke pass Adsense account he to aap ko uska pura benefit lena chahiye usme youtubebhi add kar dena chahiye jissey aapko handsome profit kamane me puri madad mile. Youtube se bhi aap kaafi acchi income kar sakte he. youtube me copyright content ka khatra jyada hota he kyuki youtube me voice copy hone ka bhi khatara rehta he aap kisi ka jara sa bhi voice copy nahi kar sakte.

Youtube pe videos upload karke paise kaise kamaye?

paise 

jyadatar log yahi sochte he ki video upload karna he aur paisa kamana he lekin aapko ye nahi pata ki google publisher se jyada advertiser aur audience ka jyada khayaal rakhta he. kehne ka matlab ye he ki advertiser apni ads show karane ke liye paisha kharch karte he aur unka paiso ka sahi istemaal ho is liye google unke pure paise vasool karta he. yani ki advertiser ki security ka khaas dhyaan rakhna padta he. aaj yahi to vajah he ki youtube duniya me sabse bada video network he. Me yaha pe ye nahi kah raha ki publisher ke liye youtube network behtar nahi he balki publisher ke liye bhi youtube se uttam network aapko kahi se bhi nahi mil sakta. Main point yaha pe terms ka he. yadi publisher terms ka khyaal rakhe to google se accha earning strot uske liye ho hi nahi sakta

To youtube publisher, audience aur advertiser teeno ke liye behtar platform he isliye aaj Googleduniya ka sabse bada network he.

Youtube se jyada Earning karni he to aapko mehnat to karni hi padegi and high quality content uploadkarna padega. Aayiye hum kuch topics dekh lete he jinse aapko youtube se paise kamane me bahot madad milegi aur aane waale time me aap bhi biggest earner ban sakoge.


Regularity: – Dosto program koi bhi ho regularity bahut hi important chij he. thik vese hi youtube se aap jyada earning karna chahte ho to aapko fix time choose karna padega aur regular rehna padega. Agar aap daily video upload na kar sako to koi problem nahi he magar aapko koi ek fix time choosekarna he. for example: – month ki har 15 tarikh ko ek video upload karna.  ya fir har Sunday ko subahya fir shaam ko ek video upload karna ETC.  Regularity rakhne par, “paise kaise kamaye?”ye savaal aapke dimaag me dusri baar nahi aayega.

Keyword target: – Sabse pehli aur badi baat agar aap bina video ko rename kiye upload kar rahe he aur description and title pe jyada dhyaan nahi de pa rahe he to aap ki Youtube se earning ho sakti he ye baat bilkul hi bhul jaayiye. kyuki is tarah se aapki koi earning nahi hone waali he. sabse jaruri baat aapko description and title hi nahi add karna he balke andar high quality keywords bhi daalne he. Tochaliye dekhte he ki youtube ke liye keyword research kese kare? Jissey ki video ke views badh jaaye aur paise kamane ka rasta bhi aasan ho jaaye.


1.Sabse pehle aap youtube ki official website pe jaaye aur search box me apne subject se related keyword enter kare.

 paise-kaise-kamaye

2.Yaha pe subject related long tail keyword choose karna he. for example:- how to block websites on google chrome

3.Ab aapko keyword ko name,title me aur description me add karna he aur dhyaan rahe ki description 250 se 300 words ki honi chahiye aur targeted keyword ko description me 2 ya 3 baar Istemaal  karna he.

4.Video rename karte vakt targeted keyword ke andar  – jarur add kare For example:- how-to-block-websites-on-google-chrome

5.Aap chahe to google keyword planner ya google diplay planner ki bhi madad le sakte he. jisme aapko low competition waale aur high cpc vale keyword choose karne hote he. me aapko Youtube Auto suggest aur Google display planner highly recommend karta hu.


Unique Content: – Unique content hona sabse jyada jaruri chij he agar aapke dhvara upload kiye gaye content unique he to aapko gabhraane ki jarurat nahi he. aur unique content se aap paise bhi bana paaoge. youtube aapko Restricted software and games ka screen recording, movie ya drama ke videosaur adult ya bhadkaane waale video upload karne ki anumati nahi deta he aur aap kisi bollywood yaHollywood movie bhi upload nahi kar sakte. Ha agar aap chhoti moti short movie record karte ho to aap uplod kar sakte ho lekin usme sab khud ka material hona chahiye yaha tak ki voice bhi copy nahi hona chahiye.

Kayi logo ko ese tukkey jarur sujhte he. woh log youtube pe se cartoons, drama search karte he jo youtube par mojud na ho. Aur ese content na milne par woh log bazaar me se iss ki dvd kharid lete he aur dvd se copy kar ke youtube par upload kar dete he. unki earning bhi ho jaati he aur jab unki $100 Earning hoti he to Google unka adsense account ban kar deta he. aur ye log samajhte he ki google sabhi users ke account $100 hone par ban kar deta he lekin inka kaaran ye he ki ye copyright content he.  aap google search karne par kayi ese topic milenge jisme log kehte he ki mera adsense account $100 hone par ban ho gaya. Aur ese log google ko dosh dete he aur kehte hi ki Google se paise nahi ban sakte he. lekin usme galti sirf aur sirf user ki he kyuki unhone youtube ki terms of service nahi padhi. kisi aur ki property ka istemaal karne par yahi hoga.  Google sabhi logo ke material ka khayaal rakhta he. isliye youtube me copyright material bilkul bhi na add kare.

Dusri baat ye ki video bahut jyada size ka nahi hona chahiye aur Video ki quality bhi acchi honi chahiye.


Fix Topic : – Dosto ye bhi ek bahut hi aham topic he agar aap apni Youtube channel par jyada subscriber chahte he aur jyada views ki chahat apne dil me rakhte he to sabse pehle aapko koi ek topic choose karna padega. Aap jiss field me expert he uske Video tutorial aap banakar publish karenge to sabhi log aapke fan ban jayenge. To hamesha koi bhi ek topic choose kare aur ussey target kare.


To pyaare mitro aapko Youtube se Jyada paise kaise kamaye?  Question ka Answer mil hi gaya hoga. Agar aapko ye article helpful laga he to aap iss tutorial ko apne dimaag me bithaale aur fir youtube me work kare jissey ki aapko Future me kaamiyabi jaarur milegi.
youtube par video upload kaise karna chahiye hindi and urdu tips

youtube par video upload kaise karna chahiye hindi and urdu tips



YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari




Youtube sabse acha way hai aasani se paise kamane ka par youtube se kamane ke liye aapko youtube ki achi jankari hona bahut jaruri hai. aaj mai aapko batunga ki youtube par video upload karne ka sahi tarika kya hai. kyuki bahut se dosto ko ye pata nahi hota ki video ko upload karne ke liye kya kya karna padta hai. aap bas mujhe follow kijiye agar koi pareshani aati hai to mujhe comment me bataye.
video uploading trick

Youtube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye?

 sabse pahle www.youtube.com par jaye or apne gmail account se log in kare. agar aapke pas gmail account nahi hai or gmail account banana chahate hai to yaha click kare Google Par Gmail Account Kaise Banaye? Video upload karne ke liye Upload Par click kare. ab aapke samne ek aysi window khulegi
video upload karne ka sahi tarika


1. yaha par click karke apne compuer me se video ko select kare
*aap apne computer me se video ko mouse se utha kar yaha par patak sakte hai video upload hona shuru ho jayega*
2. aap apne google+  video ko yaha par click karke direct upload kar sakte hai.
3. yaha par click karke aap direct apne camere se video bana kar upload kar sakte hai. 
4. agar aap apne photos ka slide show bana kar bhi upload kar sakte hai.

5. google+ par chat karte huye video bana kar bhi upload kar sakte hai.
6. aap apne pahle se upload kiye gaye video ka yaha par click karke edit kar sakte hai.

Jab aap apna video select karenge or jaise hi video upload hona shuru ho jayega to ek new window khul jayegi is taraha
youtube video editing
1. aapka video kitne parsent upload ho chuka hai wo yaha par dikhega.
2.  yaha par aapko apne video ka naam dalna hai. aap jo bhi dalna chahe. 
3. yaha par aapko apne video se sambandhit jankari likhni hai. jaise video me kya hai, video kis bare me hai, or is video ka sambandh kis kis se hai.
4. yaha par aap apne video me tag dal sakte hai. 
5. yaha par aap apne video ko ye set kar sakte hai ki aapke video ko koun dekh sakta hai or koun nahi agar aap chahate hai ki aapka video sari duniya dekhe to public hi rahne de.
aap apne video ko direct google+ or twitter par bhi send kar sakte hai google or twtter par tik karke
6. yaha par aap apne video ke sath koi msg add kar sakte hai.
7.  yaha aap apne video ko apni playlist me add kar sakte hai. 
8. jab aapka video upload ho jayega to yaha par 3 thumbnail aa jayegi. in me se aapko ek thumbnail  ko choona hai jo aapko jyada positive lage. ye thumbnail aapke video ke start hone se pahle dikhayi deti hai.  (aap apne pasand ki or bhi thumbnail select kar sakte hai jiske bare me aapko bad me btaunga)
9. jab aap apne video ki puri jankari bhar ke complete kar le to video ko public karne ke liye yaha par click kare.
10.  aapne jo video upload kiya hai use dekhne ke liye yaha par click kare.
11. agar aap or video upload karna chahate hai to yaha par click kare.
to dosto aapne ab video upload karne ka sahi tarika to sikh hi liya hoga. aage kya karna hai uske liye ye post pade
1. video upload karne ke bad paise kaise kamaye jate hai.
2. youtube se paise kamane ke liyer kya kare
or bhi bahut kuch agar aap chahate hai ki is sab ki jankari aapko mile to humari site ko subscribe kare ya fir aap humse FacebookTwitterGoogle PlusYoutube par bhi samparak kar sakte hai.
youtube videos par jyada traffic pane ki 7 seo tips in hindi urdu

youtube videos par jyada traffic pane ki 7 seo tips in hindi urdu



Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips – Video SEO




Youtube google ke bad dusra sabse bada search engine hai. Shayad aap bhi ye bat jante honge ki world me google ke bad youtube second number par aata hai. Is article me mai aapko youtube videos par jyada veiws pane ke bare me kuch video SEO tips bta raha hu. I hope aapko jarur pasand aayegi.
7 Youtube SEO Tips To Drive Organic Traffic
Youtube par 95+ billion pageviews monthly hote hai. Or youtube par ek minute me 40 hours ke video upload hote hai. Ye sab sun kar aapko ajib jarur lagega par ye sach hai. Ho sakta hai aapko youtube SEO bhi joke lage. But is post ko padhne ke bad aapki galatfahmi dur ho jayegi.
Aapne bahut se blog or websites par dekha hoga ki wo search engine se adhik traffic pane ke liye youtube video create karne ki advice dete hai. Mai is bat se 100% agree hu. Youtube videos se sachmuch aap apne content ko viral kar sakte ho.
Sirf youtube par video upload karne se koi fayda nahi hai. Aapke videos par views bhi hone jaruri hai. So sawal ye hai ki youtube videos ko search engine me high rank par kaise laye. Don’t worry ye bahut aasan hai. Aapko isme sirf kuch hi step follow karne hai or aapka video search me first pagerank me hoga.
Youtube ko SEO friendly banane ke liye aapko bas video uploading karte time ye bate dhyan me rakhni hai or seo ko follow karke video information bharni hai. Aapko bas isme thodi mehanat karni hogi or video ki complete setting karni hogi. Yah mai aapko iske bare me detailse se bta raha hu ki aapko kaha kya use karna hai.

7 Youtube SEO Tips Drive More Traffic To Your Videos From Search Engine – Make your video search engine friendly

Yaha mai aapko search engine se organic traffic receive karne ki tricks bta raha hu. jinhe follow karke aap apne youtube videos par adhik veiws prapt kar sakte ho.
1. Video Title – Use Keywords:
Video title yani video ka name jisse veiwers ko pata chalta hai ki aapki video me kya hai or kiske bare me bat ki gayi hai. So jitna ho sake video ke title ko user friendly banaye or video topic me top keywords use kare. Jis tarah se hum apni post ke title ko SEO friendly banate hai same wese hi aapko video ke title ko bhi SEO friendly banana hai.
  1. Aap video ka title choose karte time use google search engines me search karke dekh sakte ho or apne video ke title ko or jyada seo friendly bana sakte ho.
  2. Aap iske liye keywords research tools ko bhi use kar sakte ho.
  3. Video ka title jaha tak ho sake aysa elect kare ki usse related keywords log sabse jyada search karte ho.
Maine iske bare me or kei article likhe hai. Agar aapko SEO ke bare me or jankari chahiye to aap supportmeindia ki seo se related post padhe.
2. Video Description:
Blog par hum sirf 160 words me hi post description add kar sakte hai but youtube par aysa nahi hai. Aap jitne chaho video description me words use kar sakte ho. o ise ignore na kare or apna thoda sa time nikal kar video ke bare me description add kare. Or usme keywords ka istemal kare.
youtube description
Video ko search engine friendly banane ke liye aapko jyada content likhne ki jarurat nahi hai. Aap only 3-5 lines me video ke bare me likh sakte ho or inhi lines me keywords ko highlight kar sakte hai. Bahut bar jab koi user aapki video description me add keywords search karta hai to aapki video search me aa jati hai.
3. Change Vidoe File Name Before Upload:
Jab bhi aap koi video youtube par upload karte ho to aap se pahle edit jarur karte ho to uska name is tarha se hota hai m00000.avi, video.232.mp4 and other video quality. But aap uska name change karna bhool jate ho. Agar aap chahae to video file ke name me bhi keywords use kar sakte ho. Aapko video k=file ko rename karke uske name me keywords add karne hai. Name change hone ke bad video ka name aysa hoga.
  • Before: mooooovi1223.avi or mooooovi1223.mp4
  • After: Yourkeywords.avi or yourkeywords.mp4
Video files name search algorithm ko btata hai ki aapke videos me kya kya hai or aapka video kis bare me hai. Sath hi video file name search ko aapke video ko jaldi index karne me help bhi karta hai. Isliye apne video ki file me target keywords jarur use kare.
4. Video Thumbnail:
Video upload karne ke bad video ke iye thumbnail upload karna bahut jaruri hai. Aap thumbnail add karke user ko aakarshak kar sakte ho. Isse video par jyada views hote hai. Maine iske bare me youtube video me thumbnail kaise set kare post me detailse btaya hai.
Aap video me 2MB se kam size ki koi bhi photo upload kar sakte ho. Ye video ke cover ka kaam karti hai. Jis tarah mobile par cover lagane se wo or bhi better dikhne lagta hai same wese hi video par thumbnail dalne se log use jyada dekhna pasand karte hai.
5. Use subtitle/closed caption (CC)
Aapne youtube par video t odekhe honge or video me setting icon se pahle cc ka option bhi dekha hoga. Cc yani closed caption ya video subtitles. Isme aap video ki voice ke sath text add kar sakte ho. Yani aap jo kuch video me bolte hai use text version me show kar sakte ho.
Ye option video language translation ke liye banaya gaya hai. Agar aap hindi bhasha me video banate hai to ye feature aapko jarur use karna chahiye. Kyuki isme aap english keywords use kar sakte ho. Jisse aapke video ki search rank badhegi. Or agar aap adsense user hai to aapke video par CPC bhi increase hogi.
Closed caption use karke aap chaho to bina voice ki vdieo bhi bana sakte ho. Video me keywords ue karne ka ye ek or feature mil gaya hai. So ise jarur try kare.
6. Tagging:
Tagging keywords use karne ka ek or badiya tarika hai. Balki you kaho ki video ko jaldi search me lane ka ye most important tarika hai. Mai yaha aapko youtube video me tag add karne ke kuch tips bta raha hu. Follow kar sakte ho.

  1. Sabse pahle aap tagging me apne video ke main keywords se related tag search karke add kare. Jaise aap blogging SEO ke bare me video upload kar rahe ho to blogging SEO wale tag search kare.
  2. Second agar aapko main keywords se realted tag na mile to aap uski category se related tag add kare. jaise aap blogging ke video me blogging ke other tag use kar sakte ho.
  3. Ek video me 5-7 tag se jyada tag use na kare.
Inke alawa aap youtube video me words missing tag bhi use kar sakte ho. Jaise mittal ki jagah mital, to ki jagah too, tattoo ki jagah tatu and other etc.
7. Set up youtube settings:
Youtube par aap sabhi settings ek sath set kar sakte ho. So sirf vidoo ko SEO friendly banane ke alawa apne youtube channel ko bhi SEO friendly banaye. Search egnine se more traffic pane ke liye ye jaruri hai ki aapka youtube channel complete set up ho.Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare post me maine iske bare me details se btaya hai. Aap ek bar ise jaru padhe or apne youtube channel ko ache se set up kare.
Youtube par video upload karte time google plus or twiiter automatic share option diya hua hota hai. Is feature ko jarur use kare or apni video ko in social sites par share kare. Google plus par share ki gayi post bahut jadli indexx hoti hai. So isse aapko adhik organic traffic mil sakta hai.
Finally, Mai aapse kahna chahunga ki interesting videos create kare. Or apne channel ke liye koi bhi target topic select kare. Isse aap bahut jyada audience ko focus kar sakte ho. Or reader aapki latest video ka wait karenge. Mai aapko suggest karunga ki aap tutorila video upload kiya kare.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare. Sath hi post ke bare me comment bhi jarur kare.