youtube videos par jyada traffic pane ki 7 seo tips in hindi urdu



Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips – Video SEO




Youtube google ke bad dusra sabse bada search engine hai. Shayad aap bhi ye bat jante honge ki world me google ke bad youtube second number par aata hai. Is article me mai aapko youtube videos par jyada veiws pane ke bare me kuch video SEO tips bta raha hu. I hope aapko jarur pasand aayegi.
7 Youtube SEO Tips To Drive Organic Traffic
Youtube par 95+ billion pageviews monthly hote hai. Or youtube par ek minute me 40 hours ke video upload hote hai. Ye sab sun kar aapko ajib jarur lagega par ye sach hai. Ho sakta hai aapko youtube SEO bhi joke lage. But is post ko padhne ke bad aapki galatfahmi dur ho jayegi.
Aapne bahut se blog or websites par dekha hoga ki wo search engine se adhik traffic pane ke liye youtube video create karne ki advice dete hai. Mai is bat se 100% agree hu. Youtube videos se sachmuch aap apne content ko viral kar sakte ho.
Sirf youtube par video upload karne se koi fayda nahi hai. Aapke videos par views bhi hone jaruri hai. So sawal ye hai ki youtube videos ko search engine me high rank par kaise laye. Don’t worry ye bahut aasan hai. Aapko isme sirf kuch hi step follow karne hai or aapka video search me first pagerank me hoga.
Youtube ko SEO friendly banane ke liye aapko bas video uploading karte time ye bate dhyan me rakhni hai or seo ko follow karke video information bharni hai. Aapko bas isme thodi mehanat karni hogi or video ki complete setting karni hogi. Yah mai aapko iske bare me detailse se bta raha hu ki aapko kaha kya use karna hai.

7 Youtube SEO Tips Drive More Traffic To Your Videos From Search Engine – Make your video search engine friendly

Yaha mai aapko search engine se organic traffic receive karne ki tricks bta raha hu. jinhe follow karke aap apne youtube videos par adhik veiws prapt kar sakte ho.
1. Video Title – Use Keywords:
Video title yani video ka name jisse veiwers ko pata chalta hai ki aapki video me kya hai or kiske bare me bat ki gayi hai. So jitna ho sake video ke title ko user friendly banaye or video topic me top keywords use kare. Jis tarah se hum apni post ke title ko SEO friendly banate hai same wese hi aapko video ke title ko bhi SEO friendly banana hai.
  1. Aap video ka title choose karte time use google search engines me search karke dekh sakte ho or apne video ke title ko or jyada seo friendly bana sakte ho.
  2. Aap iske liye keywords research tools ko bhi use kar sakte ho.
  3. Video ka title jaha tak ho sake aysa elect kare ki usse related keywords log sabse jyada search karte ho.
Maine iske bare me or kei article likhe hai. Agar aapko SEO ke bare me or jankari chahiye to aap supportmeindia ki seo se related post padhe.
2. Video Description:
Blog par hum sirf 160 words me hi post description add kar sakte hai but youtube par aysa nahi hai. Aap jitne chaho video description me words use kar sakte ho. o ise ignore na kare or apna thoda sa time nikal kar video ke bare me description add kare. Or usme keywords ka istemal kare.
youtube description
Video ko search engine friendly banane ke liye aapko jyada content likhne ki jarurat nahi hai. Aap only 3-5 lines me video ke bare me likh sakte ho or inhi lines me keywords ko highlight kar sakte hai. Bahut bar jab koi user aapki video description me add keywords search karta hai to aapki video search me aa jati hai.
3. Change Vidoe File Name Before Upload:
Jab bhi aap koi video youtube par upload karte ho to aap se pahle edit jarur karte ho to uska name is tarha se hota hai m00000.avi, video.232.mp4 and other video quality. But aap uska name change karna bhool jate ho. Agar aap chahae to video file ke name me bhi keywords use kar sakte ho. Aapko video k=file ko rename karke uske name me keywords add karne hai. Name change hone ke bad video ka name aysa hoga.
  • Before: mooooovi1223.avi or mooooovi1223.mp4
  • After: Yourkeywords.avi or yourkeywords.mp4
Video files name search algorithm ko btata hai ki aapke videos me kya kya hai or aapka video kis bare me hai. Sath hi video file name search ko aapke video ko jaldi index karne me help bhi karta hai. Isliye apne video ki file me target keywords jarur use kare.
4. Video Thumbnail:
Video upload karne ke bad video ke iye thumbnail upload karna bahut jaruri hai. Aap thumbnail add karke user ko aakarshak kar sakte ho. Isse video par jyada views hote hai. Maine iske bare me youtube video me thumbnail kaise set kare post me detailse btaya hai.
Aap video me 2MB se kam size ki koi bhi photo upload kar sakte ho. Ye video ke cover ka kaam karti hai. Jis tarah mobile par cover lagane se wo or bhi better dikhne lagta hai same wese hi video par thumbnail dalne se log use jyada dekhna pasand karte hai.
5. Use subtitle/closed caption (CC)
Aapne youtube par video t odekhe honge or video me setting icon se pahle cc ka option bhi dekha hoga. Cc yani closed caption ya video subtitles. Isme aap video ki voice ke sath text add kar sakte ho. Yani aap jo kuch video me bolte hai use text version me show kar sakte ho.
Ye option video language translation ke liye banaya gaya hai. Agar aap hindi bhasha me video banate hai to ye feature aapko jarur use karna chahiye. Kyuki isme aap english keywords use kar sakte ho. Jisse aapke video ki search rank badhegi. Or agar aap adsense user hai to aapke video par CPC bhi increase hogi.
Closed caption use karke aap chaho to bina voice ki vdieo bhi bana sakte ho. Video me keywords ue karne ka ye ek or feature mil gaya hai. So ise jarur try kare.
6. Tagging:
Tagging keywords use karne ka ek or badiya tarika hai. Balki you kaho ki video ko jaldi search me lane ka ye most important tarika hai. Mai yaha aapko youtube video me tag add karne ke kuch tips bta raha hu. Follow kar sakte ho.

  1. Sabse pahle aap tagging me apne video ke main keywords se related tag search karke add kare. Jaise aap blogging SEO ke bare me video upload kar rahe ho to blogging SEO wale tag search kare.
  2. Second agar aapko main keywords se realted tag na mile to aap uski category se related tag add kare. jaise aap blogging ke video me blogging ke other tag use kar sakte ho.
  3. Ek video me 5-7 tag se jyada tag use na kare.
Inke alawa aap youtube video me words missing tag bhi use kar sakte ho. Jaise mittal ki jagah mital, to ki jagah too, tattoo ki jagah tatu and other etc.
7. Set up youtube settings:
Youtube par aap sabhi settings ek sath set kar sakte ho. So sirf vidoo ko SEO friendly banane ke alawa apne youtube channel ko bhi SEO friendly banaye. Search egnine se more traffic pane ke liye ye jaruri hai ki aapka youtube channel complete set up ho.Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare post me maine iske bare me details se btaya hai. Aap ek bar ise jaru padhe or apne youtube channel ko ache se set up kare.
Youtube par video upload karte time google plus or twiiter automatic share option diya hua hota hai. Is feature ko jarur use kare or apni video ko in social sites par share kare. Google plus par share ki gayi post bahut jadli indexx hoti hai. So isse aapko adhik organic traffic mil sakta hai.
Finally, Mai aapse kahna chahunga ki interesting videos create kare. Or apne channel ke liye koi bhi target topic select kare. Isse aap bahut jyada audience ko focus kar sakte ho. Or reader aapki latest video ka wait karenge. Mai aapko suggest karunga ki aap tutorila video upload kiya kare.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare. Sath hi post ke bare me comment bhi jarur kare.

1 comments:

Secret on page SEO techniques
Rank your article on search engines
In quick way
SECRET ON PAGE SEO TECHNIQUES

Follow my social networks for funny memes and odd news

Facebook page 👇
follow Facebook page
Twitter👇
Join Twitter
Telegram👇
Join Telegram


EmoticonEmoticon