mobile se internet par paise kamane ke top 5 apps

Android Phone share marketing ka duniya me sabse bada operating system hai. iska most reasan hai isme unlimited apps install kar sakte hai. aapko jab jasi jankari chahiye aap wesa apps apne android phone me istemal kar sakte hai. internet, android market or google play store par aapko bahut sare free android apps mil jayenge. aap abhi bhi kisi na kisi apps ko use kar rahe ho. is post me hum bat karenge un android apps ki jinhe apne android mobile me install karke aap online paise kama sakte ho.

aapne ye to suna hoga ki android pohne se bhi online paise kama sakte hai. ye bat sach hai par 100 me se 10 apps hi aapko payment dete hai. baki 90 apps fake hote hai. wo sirf aapse kam karwate hai or payment ke waqt koi na koi issue bta kar aapka account band kar dete hai. to sabse pahle mai aapko btana chahunga ki kisi bhi apps ko use karne se pahle uske bare me achi tarah pata kar le.

Ye Apps Aapko Paise Kyu Dete Hai?

android apps se paise kamane ke bare me sun kar aapke dimag me ye bat aa hi gayi hogi ki ye apps hume paise kyu dete hai inhe kya milta hai. lagbhag har  paise kamane wala apps aapko apps download karne, video dekhne or servey complete karne ke liye kahta hai. actually ye apps aapko apna ya unke dwara join ki gayi kisi company ka promotion karwane ke liye paise dete hai. jab aap inki companies ke product ka promotion karte ho to wo company inhe commission deti hai. us commission me se kuch % paise ye apps aapko de dete hai. is tarah inki madad se aap bhi thode paise kama lete ho. lagbhag har earn money, make money apps ki yahi processing hoti hai.
To chaliye mai apne topic par aata hu ki paise kamane ke top 5 android apps konse hai.

Smartphone Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps

Jaisa ki upar me aapko bta chuka hu ki aapko paise kamane ke to hazaro apps mil jayenge par unme se sachmuch paise kamane wale apps bahut kam hi hote hai. isliye kisi bhi apps par apna time west karne se pahle uske bare me ache se pata kar le. uske bad hi kam shuru kare.
1- Earn Money
Earn Money Apps
Earn money apps aapko free or paid apps download karne, free or paid website par register karne, apne dosto ko invite karne, servey complete karne ke paise dega. iske alawa aapko earn money apps kuch servey complete karne ke offer bhi dega.  unse aap extra pincome kar sakte hai. earn money se kamaye gaye paise aap paypal account ke throw prapt kar sakte ho. Earn Money app ko Download karne ke liye  yaha click kare
2- Google Opinion Rewards
Google Opinion Rewards
Google Opinion Rewards app ko google ne develop kiya hai. google ka name sunte hi aapko ye to pata chal hi gaya hai ki ye apps fake nahi ho sakta hai. isme aapko differnt servey complete karne honge. jab aapke servey availbable honge to aapko notification message mil jayega. aap ek servey complete karke lagbhag $1 income kar sakte ho. isme aapko sawal jawab ke servey milenge. ek important bat aapko bta du ki iske servey fix hote hai or servey ka time expire hone ke bad aap use complete nahi kar sakte. iske alawa aap isse google play store se apps or music kharid kar bhi commission kama sakte ho. Google Opinion Rewards ko download karne ke liye yaha click kare
3- Ipoll
Ipoll
Ipoll apps me aapko servey ke alawa task bhi diye jayenge. jinhe complete karke aap paise kama sakte hai. iske alawa amazon, flicard jaisi compony ke mission dega. unhe complete karne ke bad aapko uska commission milega. is apps se kamaye paise aap paypal account me transfer kar sakte ho. Ipoll app ko download karne ke liye yaha click kare.


EmoticonEmoticon