youtube par video upload kaise karna chahiye hindi and urdu tips



YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari




Youtube sabse acha way hai aasani se paise kamane ka par youtube se kamane ke liye aapko youtube ki achi jankari hona bahut jaruri hai. aaj mai aapko batunga ki youtube par video upload karne ka sahi tarika kya hai. kyuki bahut se dosto ko ye pata nahi hota ki video ko upload karne ke liye kya kya karna padta hai. aap bas mujhe follow kijiye agar koi pareshani aati hai to mujhe comment me bataye.
video uploading trick

Youtube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye?

 sabse pahle www.youtube.com par jaye or apne gmail account se log in kare. agar aapke pas gmail account nahi hai or gmail account banana chahate hai to yaha click kare Google Par Gmail Account Kaise Banaye? Video upload karne ke liye Upload Par click kare. ab aapke samne ek aysi window khulegi
video upload karne ka sahi tarika


1. yaha par click karke apne compuer me se video ko select kare
*aap apne computer me se video ko mouse se utha kar yaha par patak sakte hai video upload hona shuru ho jayega*
2. aap apne google+  video ko yaha par click karke direct upload kar sakte hai.
3. yaha par click karke aap direct apne camere se video bana kar upload kar sakte hai. 
4. agar aap apne photos ka slide show bana kar bhi upload kar sakte hai.

5. google+ par chat karte huye video bana kar bhi upload kar sakte hai.
6. aap apne pahle se upload kiye gaye video ka yaha par click karke edit kar sakte hai.

Jab aap apna video select karenge or jaise hi video upload hona shuru ho jayega to ek new window khul jayegi is taraha
youtube video editing
1. aapka video kitne parsent upload ho chuka hai wo yaha par dikhega.
2.  yaha par aapko apne video ka naam dalna hai. aap jo bhi dalna chahe. 
3. yaha par aapko apne video se sambandhit jankari likhni hai. jaise video me kya hai, video kis bare me hai, or is video ka sambandh kis kis se hai.
4. yaha par aap apne video me tag dal sakte hai. 
5. yaha par aap apne video ko ye set kar sakte hai ki aapke video ko koun dekh sakta hai or koun nahi agar aap chahate hai ki aapka video sari duniya dekhe to public hi rahne de.
aap apne video ko direct google+ or twitter par bhi send kar sakte hai google or twtter par tik karke
6. yaha par aap apne video ke sath koi msg add kar sakte hai.
7.  yaha aap apne video ko apni playlist me add kar sakte hai. 
8. jab aapka video upload ho jayega to yaha par 3 thumbnail aa jayegi. in me se aapko ek thumbnail  ko choona hai jo aapko jyada positive lage. ye thumbnail aapke video ke start hone se pahle dikhayi deti hai.  (aap apne pasand ki or bhi thumbnail select kar sakte hai jiske bare me aapko bad me btaunga)
9. jab aap apne video ki puri jankari bhar ke complete kar le to video ko public karne ke liye yaha par click kare.
10.  aapne jo video upload kiya hai use dekhne ke liye yaha par click kare.
11. agar aap or video upload karna chahate hai to yaha par click kare.
to dosto aapne ab video upload karne ka sahi tarika to sikh hi liya hoga. aage kya karna hai uske liye ye post pade
1. video upload karne ke bad paise kaise kamaye jate hai.
2. youtube se paise kamane ke liyer kya kare
or bhi bahut kuch agar aap chahate hai ki is sab ki jankari aapko mile to humari site ko subscribe kare ya fir aap humse FacebookTwitterGoogle PlusYoutube par bhi samparak kar sakte hai.


EmoticonEmoticon